A Mixed Collection of Funny Poetry: (Urdu and Hindi)

Hi,

A friend of mine had forwarded me this stuff... some are funny, some heard before, and some staid...

anyways NJOY!!!!

_Santosh


Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay

Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon

Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain

Aj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga

Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jiyen gay saath marain gay
Ab rooth gai hoon to ullu ka patha mananay bhi nahi aya.

Ghar se roz jata hai wo, Maa ko bohot rulata hai wo
Kambakht baap, Sab ko hi satata hai wo

Hathi nay kaha ja kar hathni ki kabar per
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per

Tum bhi becahara,hum bhi becahara
Fittay mu tumhara,fittay mu hamara

Hum nay usay dekha angle badal kar
Us nay hamay mara sandle badal kar

Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye

Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar
Tum kha gaye is ko naswaar samajh kar

Dabbay may dabba dabbay may khargosh
Nana nay aankh mari nani behosh

Khuda karay sab haseenaao ke baap mar jaeen
Maut ka bahana ho aur hum in kay ghar jaeen

Ishq kay samander main ghota lagaya
Pani both thanda tha main bahar nikal aya

Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha

Log kehtay hain kayamat kay din marr jaeen gay
Hum bhi bohot chalaak hai,mangi thallay war jaeen gay

Wo ankh bari pyaari thi jo hum nay usay mari thi
Wo sandle bari bhari thi jo us nay hamay mari thi

Mera dil para hai loose Is ko matt karo tum use
Warna parain gay tum ko shoes

"Sahib Zaday kiya karte hain" Larki Waloon ne poocha
"Jab dekho farigh phirte hain ya tambako pite hain"
Larkay ki amman yeh bolin....kam kare us ki joti
"do bhai bhatta lete hain--abba khair se daku hain"

nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
.har haal main anjam se darte rehna
Qudrat ka barra anjam hai jaidi........
mehbooba ki olad ka "mamoon" kehna!

Ishq main fanni kharabi...........Munqata hi ho geya saab silsila
Is tarha toota hai un se wasta....jis tarha T.V main toote rabta

Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon

or bhi chizain lut chuki hain dil ke sath
yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad
is liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main
" eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad"

bhains rakhne ka takalluf hamse ho sakta nahin
ham ne sokhe doodh ka dabba jo hai rakha hua
ghar main rakhain ghair mehrm ko mulazim kis liye
kam karne ke liye abba jo hai rakha hua


Utha kar phool ki patti, nazaakat se masal daali
Ishaarey se kaha Hum dil "Aisa" haal kartey hain

dil karta hai keh uss kay nazook hontoon koo chuum loonnnnn
magar uss kee behteee hooyee naak nay meraa iradaa hee badal diyaaa

chandni chand se hogi to sitaroon ka kiya ho ga
mohabbat eik se hogi to hazaroon ga kiya ho ga

Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo

Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao

Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain

Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho

Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai

Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar

Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga

Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai

Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file

Comments

Popular posts from this blog

Best Indian websites - 2007

10 Reasons Marketing Strategy should include the Internet

Teach Marketing, Yoda Can